Monday, July 18, 2011

Path to Islam




Banjao Rasta E Deen,
Phir Dunya Bhi Hai Deen,
Bun Jaye ga Tumhara Yakeen,
Banjao gay tum Rasta E Deen.

Yakeen hai Tumhara Deen,
Phir Deen hai Tumhara Yakeen,
Iman hai agar tumhara pakka,
To Tor do gey Hur Eent.

Rasta hai tumhari maang,
Manzil hai tumhari aas,
Chal paro ab hur haal,
Ajazi hai tumhari dhaal,
Miljayega tumko Rasta E Deen.

Banjao gay tum Rasta E Deen.
Jub tabah karogey Jagti Neend,
Pao gey Mukamal Deen,
Aur Wohi hai tumhara Deen.

Safar karlo apna poora,
Sabar aur Shukar thofa hai poora,
Deen to Hai Mukamal,
Yehi to hai Yakeen.

Banjao gay tum Rasta E Deen,
Ab Mukamal hai tumhara Yakeen.
Ab Mukamal hai tumhara Yakeen.

No comments:

Post a Comment